Dosto agar aap search kar rahe ho ki best hp laptop under 50000 kon sa hai to aap bilkul sahi jagah par aye ho. Is article me apko 50000 Rs se kam hp ke best laptop ka full review dene vala hu. Ye laptop mai Personally use kar chuka hu aur hp ke is laptop ke bare me mere se acha apko koi nahi bata payegaa.

Dosto ye Best Hp Laptop under 50000 isliye hai because ye laptop apko budget me milta hai aur is laptop ke features ese hai jo apko premium laptop ke ander dekhne ko milte hai.
upar se ye laptop multi purpose laptop hai , agar aap ek student ho to bhi apke liye ye laptop perfect hoga, aur agar apko office work ke liye laptop chaiye to bhi aap is laptop ko buy kar sakte hai aur iske alaava agar apko meri tarah photoshop , adobe premier pro software video editing ke liye chalane ho to bhi aap aasani se apna kaam kar sakte ho.
Jis laptop ki mai baat kar rha hu uska model no hai Hp dk0093au. Mai apko is hp laptop ke sare features ke bare me batauga aur apko full review bhi duga jise aap decide kar paoge ki kya apke liye ye laptop sahi rahega ya fir nahi.
Features of Hp 14 dk0093au
- Processor – Ryzen 5 Quad Code
- Display – 14 inch, Full HD, IPS LED
- OS – 64 bit, Windows 10
- Storage – 1 TB HDD + 256 GB SSD
- RAM – 8 GB DDR4
- Graphics – AMD Radeon vega 8
- Disk Drive – N/A
- WebCam- HD
- 3.5 mm Audio output- Yes
- Connectivity – 2 USB, HDMI, Type C USB, LAN, Bluetooth 4.2
- Battery Backup – up to 6 hours
- MS Office 2019 – Life Time
Performance of Best Hp Laptop under 50000
Dosto iss laptop ki performance ki baat karu to isme AMD Ryzen 5 3500u processor laga hai. Ye processor kaafi achi performance deta hai. Aap asani se multitasking kar sakte ho aur heavy software jaise photoshop, adobe premier pro, filmora etc bhi run kar sakte ho. Mene ye laptop kaafi time use kiya hai aur aap aasani se is laptop me basic video editing kar sakte hai. Agar apko apni videos me color grading karni hai ya footage me se noise remove karni hai to ye laptop apke liye nahi hai.
Iske sath sath aap google chrome browser me 10 se 15 tab bhi khol kar ek wakt me use karte ho to aap asani se use kar sakte ho. lekin esa karne pe laptop ka fan on ho jata hai jiski thori aavaz apko aati hai jo ki normal hai.
Iske alava is laptop me hybrid storage hai yani ki 1 TB HDD hai jisse apko storage ki kami kabi mehsoos nahi hoti aur 256 gb ki SSD hai jiski vajah se laptop ki speed kaafi achi ho jati hai. Is laptop ki boot speed kaafi achi hai ye laptop 5 se 8 second me Start ho jata hai .
Battery Backup
Iski battery is laptop ko Best Hp Laptop under 50000 banati hai. Ye laptop battery ke mamle me kaafi acha hai. Iski battery fast charging support karti hai jise apka laptop 1 se 1.30 ghante me full charge ho jata hai aur apko normally 5 se 6 ghante ka battery backup mil jata hai.
Agar aap lagatar heavy usage karte ho jaise ki video editing aur rendering to apke laptop ki battery 3 se 3.30 ghante chal jati hai.
Iske alava jab battery level 50% se kam hote hai aur 30% se kam hote hai to power saver mode on ho jata hai jise apke laptop me background processor kam ho jati hai aur battery ki life kuch der ke liye aur lambi ho jati hai.
Other Pros and cons
KeyBoard
Is laptop ka keyboard normal laptop se kaafi acha hai , keys ka size itna diya gaya hai ki apko type karne me koi problem nahi hoti hai. Ek kami hai agar aap raat ke andhere me laptop se typing karte hai to keyboard me light nahi hai.
Display
laptop ki display bahut crisp and clear hai because apko yaha pe full hd ips display dekhne ko milti hai aur display me colors kaafi ache aate hai. Lekin display ka size 14 inch hai jo ki kam nahi hai but agar aap pehle 15 inch ka use bade size ka display use karte hai to apko ye display chota lag skta hai lekin kuch din use karne ke baad apko ye theek lagne lagta hai.
Lekin agar aap laptop graphic desiginig ke liye lene vale ho jisme apko color correction karne hote hai to aapke liye ye display theek nahi rahega because us kaam ke liye apko true color display lena chaiye. Iske alava apko display me koi kami nhi milti hai display ko side angle se dekhne par bhi display clear najar aata hai.
Lekin dhoop me agar aap laptop use karte ho to apko display dekhne me problem ho sakti hai because iska display antiglare display nahi hai. Lekin full brightness me aap apna kaam dhoop me kar sakte hai.
Webcam
Dosto Laptop ke jo webcam hote hai wo bus bolne ke liye HD hote hai. To mai apko clear bta rha hu ki is laptop ka webcam bhi kuch khas nahi hai. Lekin itna bhi bura nahi hai agar aap achi light me beth kar video call karna chahte hai to apka kaam chal jayega.
Lekin agar koi laptop ke webcam ka use Gaming me live stream ke liye ya Video record karne ke liye karna chahta hai to usme quality kuch achi nahi milegi uske liye apko alag se webcam buy karna hoga.
Gaming
Agar aap is laptop me games khelna chahte hai to bilkul aap khel sakte hai because iss laptop me apko Vega 8 graphics mil jate hai jiski performance Ryzen 5 ke apko kaafi achi mil jati hai. Lekin ye laptop gaming ke liye nahi banaya gya hai to aap isme heavy ya pro gaming to nahi kar sakte lekin agar apko medium settings me pubg ya COD jaisi game thori bahut khelni hai to aap khel sakte hai.
Audio
Dosto Audio ki baat karu to iss laptop me apko decent sound mil jata hai. Volume bahut Tez to nahi hai but ek room me bethkhar aap aram se movie ya songs sun sakte hai itna to hai. Aur sound quality ki baat karu to apko AVG sound quality isme dekhne ko mil jata hai.
Heating
Dosto kisi bhi laptop ko lene se pehle apke man ye savaal ata hai. Laptop me koi heating issue to nahi hai ?.
Dosto mai apko bta du ki iss laptop me Ryzen 5 processor hai jo ki thora bahut heat ho ji jata hai jab aap lagatar laptop pe laod dalte ho to aur sath ke sath apka room temperature bhi matter karta hai. agar aap AC room me bethkar ise use karte ho to Heating issue bahut kam hoga aur agar aap garmi me laptop use karte ho to jaahir si baat hai laptop heat hoga. lekin utna bhi heat nahi hota ki laptop ko koi nuksaan ho.
To ye laptop pe jab aap full load dalkar kaam karte ho to thora bahut heat hota hai jo ki normal hai. Agar Mera laptop heat hota hai to mai laptop ko 5 Min ka break de deta hu jise ye vapas normall ho jata hai.
Price
Best hp laptop under 50000 ke Price ki baat karu to dosto ye laptop apko amazon ya flipkart pe 50k ke under hi mil jata hai. Kisi Sale offer ke time to ye apko 42k tak ka bhi mil jata hai aur nomally iska price 45k se 47k rehta hai. aap abhi iska kya price hai niche diye gaye link se check kar sakte ho.
Amazon | Check Price |
Flipkart | Check Price |
Muje umeed hai apko pta chal gya hoga best hp laptop under 50000 ke bare me aur mene iss laptop ke bare me apko sab kuch bataya hai. Aur agar apko budget laptop chaiye to jisme aap multitasking kar sake to ye laptop ek best choice hai.
Ye bhi Read kare Laptop Buying Guide in hindi
[…] Read This- Best Hp Laptop under 50000 […]