Aagar aap bhi apne content me png ka istemal karte hai aur google pe png search karte hai to aaj mai apko btauga kaise aap kisi bhi normal image ko png me convert kaise kar sakte hai.
Png aur normal image me kya difference hota hai ye apko niche diye gaye image se pta chal rha hoga


Aap kisi bhi image ka aap background remove kar dete hai to wo png ban jati hai. jaise ki upar dikhaye image me first image me normal image hai jisme virat kohli ke piche orange color ka background show ho rha hai
whi dusri jo image hai usme background remove kar diya gaya hai aur wo ek png image hai jiska use aap kisi bhi image ke uppar layer ki tarah aram se kar sakte ho.
agar aap normal image ko kisi image ke upar layer ki tarah use karoge to bacground wali image poori trah se dikhayi dena band ho jati hai lekin png me keval utna hi portion cover hota hai jitni png image hoti hai
To kisi bhi image ko png banane ke liye aap us image ka background remove kar sakte hai aur us png bana sakte hai. agar kisi image me background ek hi color ka hai to use remove karna bahut aasan hai lekin agar backgroun me kafi sari alag alag color ya cheeze hai to use baariki se remove karna padta hai
Image ko png me convert karne ke tarike
Aaj ki date me sabse aasan aur acha tarika hai Remove.bg ka istemal karke image ko png me convert karne ka . Ji ha jaise mene bataya ki kisi bi image ka background remove karte hai to wo png ka kaam karti hai. Ek bahut hi popular website hai Remove.bg jisme aap free me apni photo upload karke 1 click me kisi bi photo ka background remove kar sakte hai
Iske alava apko android playstore par bahut sare application mil jate hai jisme aap 1 click me hi background remove kar sakte hai. for example background eraser
Agar aap computer me Photoshop chalana jante hai to photoshop me kisi bhi photo ka background remove karke use png me convert kar sakte hai
Leave a Reply